Main aakhir kya likhun uspar Jisne mujhe banaya hai..
Main aakhir kya likhun uspar
Jisne mujhe banaya hai
Raaton ko der tak jag-jag kar
Baalon mein tel lagaya hai
Haathon se champi kar-kar ke
Mera sar dard mitaya hai
Jab bhi bimaar main hota hun, jab neend nahi aa paati hai
Apni godi mein sar rakh kar,
Lori gaa kar ke sulaya hai
Apni bhook aur pyaas chupai hai
Apne hisse ki roti bhi meri maa ne mujhe khilaya hai
Main aakhir kya likhun uspar
Jisne mujhe banaya hai
Usne uss mamuli dhaage ko
Shakti ka shrot banaya hai
Har saal unhi ummedon se
Usne raakhi pehnaya hai
Taarif kabhi naa karti hai
Kae baar mummy papa se usne mujhe marwaya hai
Phir bhi jo ho, jaisi ho
Meri behenon ne mujhe ek accha insaan banaya hai
Main aakhir kya likhun uspar
Jisne mujhe banaya hai
Dil mein uski tasveer bani
Usne taqdeer banaya hai
Raaton ko jab main chup kar rota tha
Usne hi mujhe samjhaya hai
Dukh mein, sukh mein, har haalat mein
Usne wo saath nibhaya hai
Mere ishq, meri mohabbat, meri mehbooba ne
Mujhko jeena sikhlaya hai
Main aakhir kya likhun uspar
Jisne mujhe banaya hai,
Main aakhir kya likhun uspar
Jisne mujhe banaya hai..
टिप्पणियाँ
एक टिप्पणी भेजें
Thank you for commenting. Hope you liked my content. Follow for more!!