AksarЁЯМИ
Aksar insaan uss dehleez par aakar khada ho jaata hai
Aksar uss mod par wo khud ko akela hi paata hai
Jahan use haqiqat aur sapne mein fark samajhna padta hai
Aksar use sapne mein jeena jyaada mehfooz lagta hai
Aksar wo yeh bhul jaata ki kuch cheezein kabhi haqiqat nhi ho skti
Kae aesi cheezein hain jo chah kar bhi kabhi apni nhi ho skti
Sab kuch dhuan sa udta lagta hai
Har rishta sa ab bichadta lagta hai
Aksar hum gairon ke itne kareeb aa jaate hain
Aksar apnon mein hi gair ban jaate hain
Aksar hum bhut kuch kehna chahte hain
Par aksar hi khaamosh ho jaate hain
Aksar hum izzhar karte hain
Par aksar hi inkaar sunte hain
Aksar yaar rooth se jaate hain
Aksar dil toot se jaate hain
Aksar ek khat likhne ko sochta hun
Aksar wo puraani kalam dhundhta hun
Par phir theher sa jaata hun
Kyu ki aksar khud ko barbaad hi paata hun
Very Nice ЁЯСП
рдЬрд╡ाрдм рджेंрд╣рдЯाрдПं