संदेश

School Life लेबल वाली पोस्ट दिखाई जा रही हैं

Wo school life ka chota sa sansaar naa hoga..

Calls toh kal bhi honge  Par "skul aaoge?", yeh sawaal naa hoga Phones bhut acche camera quality ke honge Par gallery mein doston ke bekaar pics ka bhandaar naa hoga College pta nhi kaise honge  Par skul ke boys washroom jaisa maahaul naa hoga Aansu tab bhi honge  Par aansu pochne waala yaar naa hoga Crush tab bhi rahegi  Par ab use dekhne ke mauke naa honge  Wo flirts naa honge, wo flames waala game naa hoga Wo sports period ke liye ladai naa hogi Wo har choti ladayi ke baad waala pyaar naa hoga Izzat toh bhut hogi Par izzat utarne waale kamine yaar naa honge Branded clothes bhi bhut honge Par wo school dress dhang se pehenne waali daant naa hogi Tum bhi whi rahoge aur hum bhi whi Par wo last seat jaisa ghar-baar naa hoga Duniya tab bhi aesi hi rahegi Par wo school life ka chota sa sansaar naa hoga