Uski zulphon ke jarookhon mein kuch yun lipat se gye hain hum , ab ahsas hi nhi Hume ki kya khusi hai kya gam
Aksar🌈
Aksar insaan uss dehleez par aakar khada ho jaata hai Aksar uss mod par wo khud ko akela hi paata hai Jahan use haqiqat aur sapne mein fark samajhna padta hai Aksar use sapne mein jeena jyaada mehfooz lagta hai Aksar wo yeh bhul jaata ki kuch cheezein kabhi haqiqat nhi ho skti Kae aesi cheezein hain jo chah kar bhi kabhi apni nhi ho skti Sab kuch dhuan sa udta lagta hai Har rishta sa ab bichadta lagta hai Aksar hum gairon ke itne kareeb aa jaate hain Aksar apnon mein hi gair ban jaate hain Aksar hum bhut kuch kehna chahte hain Par aksar hi khaamosh ho jaate hain Aksar hum izzhar karte hain Par aksar hi inkaar sunte hain Aksar yaar rooth se jaate hain Aksar dil toot se jaate hain Aksar ek khat likhne ko sochta hun Aksar wo puraani kalam dhundhta hun Par phir theher sa jaata hun Kyu ki aksar khud ko barbaad hi paata hun
टिप्पणियाँ
एक टिप्पणी भेजें
Thank you for commenting. Hope you liked my content. Follow for more!!