संदेश

Aksar🌈

Aksar insaan uss dehleez par aakar khada ho jaata hai Aksar uss mod par wo khud ko akela hi paata hai Jahan use haqiqat aur sapne mein fark samajhna padta hai Aksar use sapne mein jeena jyaada mehfooz lagta hai Aksar wo yeh bhul jaata ki kuch cheezein kabhi haqiqat nhi ho skti Kae aesi cheezein hain jo chah kar bhi kabhi apni nhi ho skti  Sab kuch dhuan sa udta lagta hai Har rishta sa ab bichadta lagta hai Aksar hum gairon ke itne kareeb aa jaate hain Aksar apnon mein hi gair ban jaate hain Aksar hum bhut kuch kehna chahte hain Par aksar hi khaamosh ho jaate hain Aksar hum izzhar karte hain Par aksar hi inkaar sunte hain Aksar yaar rooth se jaate hain Aksar dil toot se jaate hain Aksar ek khat likhne ko sochta hun Aksar wo puraani kalam dhundhta hun Par phir theher sa jaata hun Kyu ki aksar khud ko barbaad hi paata hun

Thodi tum ho aur thode hum hain..

Thodi tadpan hai, Thodi si jalan hai Thodi quahish hai, Thodi farmaish hai Thodi bandagi hai, Thodi dil lagi hai Thodi shabab hai, Thodi sharab hai Thodi haya hai, Thodi dua hai Thodi Adaa hai, Thodi saza hai Thodi khusiyan hain aur thode gum hain Thodi tum ho aur thode hum hain

Tasveer bhi badal gyi..

Raaste badal gye hamare Manzil bhi badal gyi Raah mein dobara mile toh ajnabee samajh lena Wo chehre badal gye, Tasveer bhi badal gyi

Maut ki kadr bhi ho..

Unke sheher mein mile thikaana Chahe shamshan yaa qabr hi ho Hum jaan bhi de dein unke liye Faqat unhe hamare maut ki kadr bhi ho..

Shab-e-vasl par Haya kaisi..

Shab-e-vasl par Haya kaisi Parde mein kyu ho, aaj yeh Hijab kaisa.. Darmiyan yeh Doori kaisi Taqaaza kya hai, Chehre par yeh Nakaab kaisa..

He was Different..

What was the only mistake he committed? Ans- He was Different. What was the reason for the society to hate him? Ans- He was Different. Why was he never accepted by anyone? Ans- He was Different. Why was he deprived of all the privileges? Ans- He was Different.  Why his own family felt ashamed of him? Ans- He was Different. Why He always felt lonely? Ans- He was Different. Remember one thing, if someone is different, if God has created their body and mind in different style..why should it even matter whether they belong to LGBTQ Community or not..whether they are physically and mentally similar to others or not..what only matters is that they possess the purest of emotions and love for all..they are just another piece of art by God..which deserves to be respected the same as others are respected..They are special and unique but not abnormal, they too have a beautiful and pious soul and a heart which beats for their family, friends and love..

जुर्म करने की उम्र नहीं थी उसकी..

जुर्म करने की उम्र नहीं थी उसकी, पर उसे समलैंगिक होने का सज़ा फ़रमाया गया.. उसके खुशियों की किसी को नहीं पड़ी, पर हर खुशी के मौके पर उसके दुआओं को आजमाया गया.. उसकी तारीफ़ किसी ने नहीं की,  पर उसकी कमियों को हमेशा बढ़ चढ़ कर नुमाया गया.. हमेशा लोग चिड़ते रहे उससे, उसकी हर ख़्वाहिश को समाज द्वारा दबाया गया.. जो भगवान ने बनाया था, उस इंसान का हर मुक़ाम पर मज़ाक उड़ाया गया.. उसके अकेले रहने का कानून बना दिया समाज ने, उसके प्यार को हमेशा अस्वीकृत बताया गया.. ये जो दुआओं की एक ताकत बख्शी है खुदा ने, उसे हमेशा से एक अभिशाप बताया गया.. बर्दाश्त की हद तो तब पार हुई जब अपने परिवार ने भी ठुकराया उसे,  जीते जी उसके जीने के हक़ को दफ़नाया गया..